GAZAL JAAN KI RUKHSATI

Jaan Teri he jigar tera he man tera he
Meri parchayyan teri hen badan tera he
Saansen teri hen zabaan teri dehen tera he
Aik do phool nahi saara chaman tera he

Me juda dil se teri yaad na hone dunga
Ghar kabhi ishq ka barbaad na hone dunga



Mujhko shohrat bhare bazaar me laya tu he
Meri saanson me mere dil me samaaya tu he
Aysa lagta he mere Jism ka saaya tu he
Ye alag baat ke ayn dost paraaya tu he


Phir bhi me apni muhabbat ka bharam rakkhunga
Dil me abaad hamesha tera gham rakkhunga



Jaanta hun ke tu armaan kisi or ka he
Mai to maali hun gulistaan kisi or ka he
Dil me rehkar mere mehmaan kisi or ka he
Dil ke mandir me he bhagwaan kisi or ka he


Dil ka mandir bhi kisi roz ujad jaayega
Dewta apne pujaari se bichad jaayega




Bholi soorat ke bohot chahne waale honge
Tere jalwe kisi aankhon ke hawaale honge
Meri qismat ke sitam mujhpe niraale honge
Teri mehfil me to har simt ujaale honge


Roz mehsoos karengin meri aahen tujhko
Muddaton dhundengin reh reh ke nigaahen tujhko




Aik din tu bhi dagha deke chali jaayegi
Dil ke zakhmon ko hawa de ke chali jaayegi
Khushk aankhon ko ghata deke chali jaayegi
Mujhko in'aame wafa deke chali jaayegi


He tera jism kisi or ki baanhon ke liye
Tu to ik khuwaab he bas meri nigaahon ke liye




Oonche mehlon ke khayalaat mubaarak hon tujhe
Apni qismat ke kamalaat mubaarak hon tujhe
Aysho araam ke din raat mubaarak hon tujhe
Apne badle hue halaat mubaarak hon tujhe


Kaise poori me tere qalb (dil) ki khuwaahish karta
Apni ghurbat ki kahaan jaake numaa'ish karta



Husn tha mol khareedaar kahan se deta
Qeemate husn tujhe yaar kahan se deta
Sone chaandi ke tujhe haar kahaan se deta 
muflisi me tha giraftaar kahan se deta


Me ne girvi yun ummeedon ka chaman daal diya
Muflisi ne meri izzat pe kafan daal diya


      

Comments